Wednesday, 23 November 2016

Insaan ka beta hai tu insaan banega...

Insaan ka beta hai tu insaan banega...

Note- Before reading this please be a human instead of Hindu/Musalman/Other

Aap Hindu ho ya Musalman mujhe is baat se koi matlab nhi hai.But agar aap ek Musalman/Hindu ho aur apko kisi se nafrat hai sirf isliye ki wo kisi aise dharm/region se hai jo apko pasand nhi hai.To ek kaam karo ab aap apne aap se ek sawal karo ki kya tum sach me ek Musalman/Hindu ho?
Read it...
("Agar koi kisi bekusoor (innocent) insaan ka Qatal karta hai to ye puri insaaniyat ka Qatal karne jaisa hoga. Aur agar koi kisi bekasoor (innocent) ki jaan bachata hai to ye puri insaaniyat ko bacchane jaisa hai" "The Quran 5:32")

("I look upon all creatures equally; none are less dear to me and none more dear. But those who worship me with love live in me, and I come to life in them.
मैं सभी प्राणियों को सामान रूप से देखता हूँ; ना कोई मुझे कम प्रिय है ना अधिक. लेकिन जो मेरी प्रेमपूर्वक आराधना करते हैं वो मेरे भीतर रहते हैं और मैं उनके जीवन में आता हूँ.""Srimadbhagwadgitaश्रीमद्भगवद्गीता")


Ab batao mere Hindu/Musalman bhayiyon kya aap isi dharm ko follow karte ho ya koi alag dharm bana liya hai?? Q apne dharm ko badnaam karte ho?
Aap ko sabse pahle insaan bnana hoga uske baad hi aap kisi dharm ko follow kar payenge. Har dharm insaaniyat ki baat karta hai fir aap usi dharm ke manane wale kaise insaaniyat se nafrat kar sakte hain?
Aapko ek dusre ko nicha dikhaana ,gaali dena ladna, maarna pitna, bhale hi apko ek pal ke liye chain de de par apki aatma kabhi sukoon nhi paa sakti aur ye aapko bhi ache se pata hai.
So please mere bhayiyon/Bahno Insaan bano insaan..Khsusi dena sikhon khush rahna sikh jaoge.

Tuesday, 22 November 2016

Main mohabbat kaise kar lun

Main mohabbat kaise kar lun??
Khud-khushi haram hai sahab.

Mere waade tujh jaise bade to nahin hai jaana

Mere waade tujh jaise bade to nahin hai jaana,
Par mere waade tujh jaise jhuthe bhi nhi hain.

Main tujhe pyaar karoonga fir se

Main tujhe pyaar karoonga fir se,
Pahle ek aur zindagi to milne de.

Mujhe chain milta hi nhi

Mujhe chain milta hi nhi us zamaane se,
Tujhse nain milaya tha jis zamaane me.